zor hai garmi-e-bāzār tire kūche meñ
jam.a haiñ tere ḳharīdār tire kūche meñ
dekh kar tujh ko qadam uTh nahīñ saktā apnā
ban ga.e sūrat-e-dīvār tire kūche meñ
paañv phailā.e zamīñ par maiñ paḌā rahtā huuñ
sūrat-e-sāya-e-dīvār tire kūche meñ
go tū miltā nahīñ par dil ke taqāze se ham
roz ho aate haiñ sau baar tire kūche meñ
ek ham haiñ ki qadam rakh nahīñ sakte varnā
aiñDate phirte haiñ aġhyār tire kūche meñ
pāsbānoñ kī tarah rātoñ ko be-tābī se
naale karte haiñ ham ai yaar tire kūche meñ
aarzū hai jo marūñ maiñ to yahīñ dafn bhī huuñ
hai jagah thoḌī sī darkār tire kūche meñ
gar yahī haiñ tire abrū ke ishāre qātil
āj-kal chaltī hai talvār tire kūche meñ
hāl-e-dil kahne kā 'nāsiḳh' jo nahīñ paatā baar
pheñk jaatā hai vo ash.ār tire kūche meñ