jaan ham tujh pe diyā karte haiñ
naam terā hī liyā karte haiñ
chaak karne ke liye ai nāseh
ham garebān siyā karte haiñ
sāġhar-e-chashm se ham bāda-parast
mai-e-dīdār piyā karte haiñ
zindagī zinda-dilī kā hai naam
murda-dil ḳhaak jiyā karte haiñ
sañg-e-asvad bhī hai bhārī patthar
log jo chuum liyā karte haiñ
kal na degā koī miTTī bhī unheñ
aaj zar jo ki diyā karte haiñ
dafn mahbūb jahāñ haiñ 'nāsiḳh'
qabreñ ham chuum liyā karte haiñ