yaad aatī haiñ hameñ jaan tumhārī bāteñ
haa.e vo pyaar kī āvāz vo pyārī bāteñ
pahroñ chup rahte haiñ ham aur agar bolte haiñ
vahī phir phir ke ulaTtī haiñ tumhārī bāteñ
ġhair har dam mujhe bāteñ jo sunā jaate haiñ
jāntā huuñ ye maiñ ai jaan tumhārī bāteñ
yaad aatā hai tirā kyā ke evaz kā kahnā
haa.e phir kab maiñ sunūñgā vo gañvārī bāteñ
hai burī baat ye aġhyār se bāteñ karnī
varna ai jaan tirī achchhī haiñ saarī bāteñ
is tarah bol nikalte na sune the ham ne
kartī hai saaf sanam terī sitārī bāteñ
tū vo ejāz-e-bayāñ hai ki masīhā samjheñ
sun leñ ai jaan kisī din jo juārī bāteñ
is liye ashk bahātā huuñ dam-e-fikr-e-suḳhan
ki hamesha raheñ duniyā meñ ye jaarī bāteñ
tū vo gul hai ki agar kaan dhare gulshan meñ
ho zabāñ mauj kare bād-e-bahārī bāteñ
kījiye sehr-bayānī se musaḳhḳhar kyūñ-kar
kabhī suntā nahīñ 'nāsiḳh' vo hamārī bāteñ