Imam Bakhsh Nasikh

wo bezar mujhse hua zar main hun

Imam Bakhsh Nasikh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1772-1838
vo bezār mujh se huā zaar maiñ huuñ
vo mai-ḳhvār ġhairoñ meñ hai ḳhvār maiñ huuñ
nahīñ ishq se zard zardār maiñ huuñ
agar hai vo yūsuf ḳharīdār maiñ huuñ
tamannā hai saaqī kabhī bazm-e-mai meñ
vo sarshār ho aur hushyār maiñ huuñ
huī jam.a be-dardī-e-dardmandī
dil-āzār vo hai sitamgār maiñ huuñ
vo kartā hai bāteñ maiñ kartā huuñ aaheñ
guhar-bār vo hai sharar-bār maiñ huuñ
vahī boltā hai jo maiñ boltā huuñ
agar vo hai bulbul to minqār maiñ huuñ
digar-gūñ hai har aan vaz-e-mohabbat
kabhī ġhair maiñ huuñ kabhī yaar maiñ huuñ
kahā hazrat-e-'dard' ne ḳhuub 'nāsiḳh'
ye zulf-e-butāñ kā giraftār maiñ huuñ
Top Urdushayar.com