abhī tak us ko mirā intizār hai shāyad
mirī nazar pe bahut e'tibār hai shāyad
libās aisā maiñ pahle kabhī nahīñ dekhā
kisī ke sog meñ ab ke bahār hai shāyad
vo dekh kar mujhe misl-e-gulāb khiltā hai
ki dil hī dil meñ use mujh se pyaar hai shāyad
ka.ī diloñ kā muqaddar azaab hotā hai
hamārā dil bhī unhīñ meñ shumār hai shāyad
nigāh-e-nāz kā nashsha kabhī kā TuuT chukā
bas ab to āñkhoñ meñ us kā ḳhumār hai shāyad
vo baat baat pe apnī misāl detā hai
kuchh apne aap pe kam e'tibār hai shāyad
tane pe jis ke tarāshe the ham ne naam kabhī
'ḳhayāl' kiije yahī vo chīnār hai shāyad