kisī ke saath gayā muddateñ guzār aayā
baḌe dinoñ meñ kahīñ jā ke phir qarār aayā
nahīñ hai ḳhvāb ye sach hai na e'tibār aayā
ye kyā huā ki unheñ aur mujh pe pyaar aayā
gayā thā āñkhoñ meñ ummīd kī kiran le kar
maiñ us ke shahr se lauTā to ashk-bār aayā
vo thā jahāz kā panchhī na maiñ jahāz koī
na kaam sabr hī aayā na intizār aayā
farāz-e-koh kā rasta bhī thā kaḌā lekin
'ḳhayāl' kaañp uThī ruuh jab utaar aayā