ab ghaTā.eñ siyāh halkī haiñ
raat shāyad ye khul ke barsī haiñ
aap sāda-libās meñ bhī mujhe
had se zyāda hasīn lagtī haiñ
dil mirā ḳhānqāh ho goyā
dhaḌkaneñ terā naam japtī haiñ
ek muddat huī nahīñ royā
merī palkeñ hanūz bhīgī haiñ
bevafā.ī kī ye adā.eñ sabhī
aap hī se to ham ne sīkhī haiñ
ab ye chhuTte nazar nahīñ aate
abr jo bastiyoñ pe taarī haiñ
ab sambhalte 'ḳhayāl-sāhab' aap
bachpane kī hadeñ bhī hotī haiñ