fāsla dair-o-haram ke darmiyāñ rah jā.egā
chaak sil jā.eñge ye zaḳhm-e-nihāñ rah jā.egā
haath se apne to dho legā lahū ke daaġh tū
devtā kā paak dāman ḳhūñ-fishāñ rah jā.egā
chāñd thoḌī der meñ chal degā apne rāste
phir sitāroñ ke sahāre āsmāñ rah jā.egā
jaane vaale ko mayassar ho ga.ī ġham se najāt
ġham to us ke ho raheñge jo yahāñ rah jā.egā
raakh se merī chitā kī us kī āñkhoñ meñ 'ḳhayāl'
aur ye do chaar din shor-e-fuġhāñ rah jā.egā