Priyadarshi Thakur Khayal

yahi hota hai akasr zindagi mein

Priyadarshi Thakur Khayal

Motihari, Bihar, India

1946
yahī hotā hai akasr zindagī meñ
ki thoḌā ġham bhī shāmil ho ḳhushī meñ
udaas āñkhoñ meñ palkoñ kī namī meñ
jhalaktī thī vafā bhī be-ruḳhī meñ
vahāñ dushvār thā ḳhud se bhī milnā
talāsh-e-yār kyā ho be-ḳhudī meñ
gile-shikve to hote hī raheñge
chalo kuchh der baiTheñ chāñdnī meñ
añdheroñ se shikāyat ho to kyā ho
dikhā.ī kuchh na de jab raushnī meñ
na koī aarzū dil meñ shifā kī
na hāsil hai shifā chāragarī meñ
misāl 'arjun' kī rakhnā yaad har dam
bahut aage baḌhoge zindagī meñ
ġhanīmat hai ki ab bhī dekhte haiñ
ham apne-āp ko is ajnabī meñ
'ḳhayāl' itne na the kam-zarf pahle
baḌī gahrā.ī thī tishna-labī meñ
Top Urdushayar.com