bhīnī bhīnī dard kī ḳhushbū luTāne ke liye
phuul khilte haiñ chaman meñ muskurāne ke liye
har gul-e-tahzīb ko haq hai ki vo khiltā rahe
is riyāz-e-dahr meñ ḳhushbū luTāne ke liye
yuuñ simaTnā bhī hai koī zindagī ai dosto
zindagī hai vus.at-e-ālam pe chhāne ke liye
kuchh fareb-e-rañg-o-bū meñ aa hī jaatā hai bashar
varna ye duniyā nahīñ hai dil lagāne ke liye
ek jogan ne bahā kar gyaan kī gañgā kahā
gyaan hī kailāsh hai shañkar ko paane ke liye
dostī meñ hai bajā 'pankaj' savāl-e-shauq bhī
hotī hai yaarī magar qurbān jaane ke liye