ḳhizāñ meñ suukh gayā maiñ to ye muqaddar thā
vo naunihāl kahāñ hai jo mere andar thā
vo aable jo rah-e-ārzū meñ phuuT ga.e
safar kā lutf unhīñ ābloñ meñ muzmar thā
nuqūsh-e-dard tarāshe ġhamoñ ke rañg bhare
maiñ jaise dast-e-mashiyyat meñ koī patthar thā
tumhārī yaad ke saa.e bhī kuchh simaT se ga.e
ġhamoñ kī dhuup to bāhar thī aks andar thā
mirā vajūd bhī tārīḳh hai zamāne kī
mujhe bhī paḌh ke kabhī dekhte to behtar thā
dayār-e-fikr-o-nazar kuchh dhuāñ dhuāñ sā hai
junūñ kī sham.eñ thiiñ raushan to ḳhuub manzar thā
vahī hai aaj zamīñ par ḳharāb-o-ḳhasta-o-ḳhvār
jo apnī shaan meñ nūrāniyoñ se behtar thā
'shamīm' aaj sar-e-rahguzār-e-zīst milā
jo tah-ba-tah ghane zaḳhmoñ kā ek paikar thā