Mubarak Shamim

main wo ek jins-e-giran hun sar-e-bazar ki bas

Mubarak Shamim

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1928
maiñ vo ik jins-e-girāñ huuñ sar-e-bāzār ki bas
haath yuuñ milte haiñ hasrat se ḳharīdār ki bas
aaj tak ahl-e-vafā se na kisī ne pūchhā
aur jaarī rahe shuġhl-e-rasan-o-dār ki bas
chilchilātī huī ye dhuup ye tapte maidāñ
aur idhar hausla-e-dil kā vo isrār ki bas
aa gayā yazdāñ ko taras āḳhir kaar
itnā sharminda-o-nādim thā gunahgār ki bas
shiddat-e-shauq meñ had se na guzar jaa.e kahīñ
koī kar de dil-e-nādāñ ko ḳhabar-dār ki bas
jī yahī kahtā hai ab chal ke vahīñ jā Thahro
ham ne vīrānoñ meñ dekhe haiñ vo āsār ki bas
daulat-e-aish milā kartī hai nā-dānoñ ko
ahl-e-idrāk jiyā karte haiñ yuuñ ḳhvār ki bas
chup hī is daur meñ rahiye to munāsib hai 'shamīm'
kaan yuuñ rakhte haiñ varna dar-o-dīvār ki bas
Top Urdushayar.com