Jyoti Azad Khatri

shahr-e-ulfat mein diya koi jalate jate

Jyoti Azad Khatri

Gwalior, Madhya Pradesh, India

shahr-e-ulfat meñ diyā koī jalāte jaate
mere kūche ke añdhere bhī miTāte jaate
ye mirā ishq hai kamzorī nahīñ hai jānāñ
sar jhukātī huuñ sar-e-rāh jo aate jaate
ye jo palkoñ pe sajo.e hue haiñ motī ham
ye to daulat hai ise kaise luTāte jaate
aap ko dil pe mire raaj agar karnā thā
vasvase pahle mire dil ke miTāte jaate
zinda rahne ke liye ḳhvāb zarūrī hai bahut
so hameñ ḳhvāb nayā koī dikhāte jaate
be-qarārī kī ye manzil nahīñ hotī 'jyotī'
dūriyāñ aap agar mujh se baḌhāte jaate
Top Urdushayar.com