bujhāne meñ havāoñ kī sharārat kam nahīñ hotī
magar jalte hue dīpak kī shiddat kam nahīñ hotī
koī jā ke batā de un zarā nādān logo ko
lagāne se kabhī pahre mohabbat kam nahīñ hotī
nasha aisā chaḌhā ulfat kā terī mujh pe ai hamdam
agar maiñ chaah luuñ phir bhī mohabbat kam nahīñ hotī
maiñ suljhātī huuñ ik mushkil to duujī sāmne aa.e
merī is zindagī se kyuuñ musībat kam nahīñ hotī
jidhar dekhūñ vahīñ charchā hai mandir aur masjid kā
jahāñ se sochtī huuñ kyuuñ jahālat kam nahīñ hotī
yahī maiñ parashn kartī huuñ akele baiTh kar 'jyotī'
sabab kyā hai zamāne se ye nafrat kam nahīñ hotī