Jyoti Azad Khatri

kabhi jalaya gaya to kabhi bujhaya gaya

Jyoti Azad Khatri

Gwalior, Madhya Pradesh, India

kabhī jalāyā gayā to kabhī bujhāyā gayā
tamām-umr charāġhoñ ko āzmāyā gayā
abhī vo chāñd falak se utar ke aa.egā
ye ek ḳhvāb hameñ bārhā dikhāyā gayā
kiyā hai pyaas kā shikva jo āsmāñ se to
sulagtī ret kā manzar hameñ dikhāyā gayā
to raaz khulne lage saare ḳhushbuoñ kī tarah
havā ko jab bhī yahāñ rāz-dāñ banāyā gayā
bujhe bujhe se the ashkoñ ke jugnū kal kī shab
tumhāre zikr se āñkhoñ ko jagmagāyā gayā
vahīñ pe raqs bahut vahshatoñ kā thā 'jyotī'
mohabbatoñ kā jazīra jise batāyā gayā
Top Urdushayar.com