tiir nazroñ ke ham pe chalāte raho
jhūTī ulfat sahī par jatāte raho
is tarah pyaar mujh se nibhāte raho
dil meñ ḳhushbū ke jaise basāte raho
maiñ ḳhafā huuñ kabhī tum ḳhafā ho kabhī
pyaar kā silsila yuuñ baḌhāte raho
maiñ ne to likh diyā naam dil pe tire
gar miTānā ho mumkin miTāte raho
aa na jaa.e gumāñ mujh meñ jhūThā koī
tum haqīqat kā darpan dikhāte raho
pattharoñ ko na ehsās hogā kabhī
raat din ashk chāhe bahāte raho