Jyoti Azad Khatri

jis taraf dekhiye tufan nazar aane lage

Jyoti Azad Khatri

Gwalior, Madhya Pradesh, India

jis taraf dekhiye tūfān nazar aane lage
shahr ke shahr hī vīrān nazar aane lage
jab se shīshoñ ne kiyā un ke havāle ḳhud ko
tab se patthar bhī pareshān nazar aane lage
muḳhtasar ham ne kiyā ḳhud ko zarā sā ḳhud meñ
kis qadar rāste āsān nazar aane lage
muflisī meñ huī pahchān mujhe apnoñ kī
thā gumāñ jin pe vo anjān nazar aane lage
ik qadam hī to baḌhāyā hai hamārī jānib
aap ko fā.ede nuqsān nazar aane lage
dekh kar merī talab merā junūn-e-manzil
rāste kaise pareshān nazar aane lage
Top Urdushayar.com