ishq meñ kānhā ke rādhā yuuñ hī dīvānī na thī
par mohabbat us kī duniyā hī ne pahchānī na thī
aaj kahtī huuñ maiñ khul kar jo nahīñ ab tak kahā
tum se mil kar maiñ ne jaanā ishq nādānī na thī
ugte sūraj ko hī duniyāñ jhuk ke kartī hai salām
badle tevar pe zarā bhī mujh ko hairānī na thī
yuuñ lage kī jaam nazroñ se tirī us ne piyā
is se pahle to kabhī rut itnī mastānī na thī
kis liye ġham maiñ karūñ bolo to is pe dostoñ
thī ḳhabar mujh ko javānī lauT kar aanī na thī
tujh ko chāhā tujh ko puujā devtāoñ kī tarah
bevafā.ī se maiñ lekin terī an-jānī na thī
aib hī mujh meñ sadā tum ko nazar aa.e faqat
ḳhūbiyoñ ko par mirī tum 'jyotī' pahchānī na thī