kaun kahtā hai kī nafrat ko sadā dī jaa.e
aao bas dil meñ vafā aur baḌhā dī jaa.e
ham-safar lutf-e-safar aur do-bālā hogā
chhāñv meñ dhuup agar thoḌī milā dī jaa.e
ab to vahshat mirī chāhat kī yahī kahtī hai
maiñ gunahgār huuñ to mujh ko sazā dī jaa.e
abr ḳhushiyoñ ke bhī barseñge yaqīñ hai mujh ko
ġham kī chādar to mire sar se haTā dī jaa.e
maiñ ne asrār aziyyat meñ hī khulte dekhe
baat chhoTī hai magar sab ko batā dī jaa.e
umr phir us kī asīrī meñ guzārūñ 'jyotī'
phir se mujh ko vahī āzād fazā dī jaa.e