Jyoti Azad Khatri

wo KHwab dikhate hai sakar nahin karte

Jyoti Azad Khatri

Gwalior, Madhya Pradesh, India

vo ḳhvāb dikhāte hai sākār nahīñ karte
ulfat se magar khul ke inkār nahīñ karte
bas baat koī un ko samjhā de ye itnī sī
rishtoñ meñ kabhī koī bevpār nahīñ karte
dil us ne kiyā chhalnī be-rahmī se pesh aayā
dushman pe bhī ham apne yuuñ vaar nahīñ karte
dekhā hai mohabbat meñ barbād hue kitne
ham dil ko bachāte hai bīmār nahīñ karte
tūfān koī aa.e is rāh-e-mohabbat meñ
is dil ko kabhī apne bezār nahīñ karte
ham achchhe bure jaise bhī sāmne hai sab ke
ham apnī haqīqat se inkār nahīñ karte
maanā kī hue zaḳhmī ye qalb-o-jigar lekin
ham zaḳhm chhupāte haiñ aḳhbār nahīñ karte
Top Urdushayar.com