laboñ pe an-kahī bāteñ rakhī haiñ
mahaktī surma.ī shāmeñ rakhī haiñ
ye jo dar pe tire āñkheñ rakhī haiñ
tire bīmār kī sāñseñ rakhī haiñ
kabhī to dekh aa kar kis tarah se
lagā kar tah tirī yādeñ rakhī haiñ
maiñ kaise ab sameTūñ zindagī ko
kahīñ din to kahīñ rāteñ rakhī haiñ
talāshī le chukīñ har ek dil kī
sabhī meñ bas ghuTan aaheñ rakhī haiñ
ajab hai zindagī kā khel 'jyotī'
yahāñ apno se hī māteñ rakhī haiñ