Shamim Tariq

tu yaad aaya aur meri aankh bhar gai

Shamim Tariq

1952
tū yaad aayā aur mirī aañkh bhar ga.ī
aksar tire baġhair qayāmat guzar ga.ī
avval to muflisoñ kī koī aarzū nahīñ
paidā kabhī huī bhī to ghuT ghuT ke mar ga.ī
ik ishq jaise lafz meñ muzmir ho kā.enāt
ik husn jaise dhuup chaḌhī aur utar ga.ī
naaz o adā se paañv uThe aur laraz ga.e
achchhā huā ki us kī balā us ke sar ga.ī
'tāriq' tasavvurāt meñ aahaT sī kyā huī
jalte ga.e charāġh jahāñ tak nazar ga.ī
Top Urdushayar.com