Shamim Tariq

log kyun DhunD rahe hain mujhe patthar le kar

Shamim Tariq

1952
log kyuuñ DhūñD rahe haiñ mujhe patthar le kar
maiñ to aayā nahīñ kirdār-e-payambar le kar
mujh ko mālūm hai mādūm huī naqd-e-vafā
phir bhī bāzār meñ baiThā huuñ muqaddar le kar
ruuh betāb hai chehroñ kā ta.assur paḌh kar
yaanī be-ghar huā maiñ shahr meñ ik ghar le kar
kis na.e lahje meñ ab ruuh kā iz.hār karūñ
saañs bhī chaltī hai ehsās kā ḳhanjar le kar
ye ġhalat hai ki maiñ pahchān gañvā baiThā huuñ
daar tak maiñ hī gayā harf-e-mukarrar le kar
mojaze ham se bhī hote haiñ payambar kī tarah
ham ne mābūd tarāshe fan-e-āzar le kar
ḳhud-kushī karne chalā huuñ mujhe roko 'tāriq'
zaḳhm-e-ehsās meñ chubhte hue nashtar le kar
Top Urdushayar.com