Shamim Tariq

nind aankhon mein samo lun to siyah raat kaTe

Shamim Tariq

1952
niiñd āñkhoñ meñ samo luuñ to siyah raat kaTe
ye zamīñ oḌh ke so luuñ to siyah raat kaTe
qatra-e-ashk bhī lau dete haiñ jugnū kī tarah
do ghaḌī phuuT ke ro luuñ to siyah raat kaTe
rone-dhone se nahīñ ugtā ḳhushī kā sūraj
qahqahe hoñT pe bolūñ to siyah raat kaTe
aañkh nā-dīda manāzir ke tajassus kā hai naam
motiyāñ aañkh meñ rolūñ to siyah raat kaTe
karb-e-tanhā.ī mirī ruuh kā kartī hai siñghār
zahr ehsās kā gholūñ to siyah raat kaTe
Top Urdushayar.com