Shamim Tariq

hichkiyan leta hua duniya se diwana chala

Shamim Tariq

1952
hichkiyāñ letā huā duniyā se dīvāna chalā
jāñ-kanī ke vaqt bhī terā hī afsāna chalā
maiñ junūn-e-ishq meñ jaane kahāñ tak aa gayā
shahr ke har moḌ se patthar judāgāna chalā
ḳhuun kī gardish meñ shāmil ho ga.ī dil kī umañg
kū-e-qātil kī taraf be-iḳhtiyārāna chalā
mausam-e-gul zard hai ḳhūn-e-tamannā ke baġhair
naqd-e-jāñ le kar chaman meñ sarfaroshāna chalā
maut ke saa.e meñ 'tāriq' aarzū kī dhuup thī
kārobār-e-zindagī be-e'tibārāna chalā
Top Urdushayar.com