Shamim Tariq

kisi se puchhen kaun batae kis ne mahshar dekha hai

Shamim Tariq

1952
kisī se pūchheñ kaun batā.e kis ne mahshar dekhā hai
chup chup hai ā.īna jis ne saarā manzar dekhā hai
manzil manzil chal kar jab bhī aa.ī lahū meñ Duubī raat
aahaT aahaT qatl huā hai qadmoñ meñ sar dekhā hai
tū hī batā ruḳhsār pe us ke kitne til haiñ kitne daaġh
tū ne to ai dīda-e-bīnā phuul ko patthar dekhā hai
mahfil mahfil jis ke charche gulshan gulshan jai-jai-kār
ham ne usī ke haath meñ yaaro aksar ḳhanjar dekhā hai
larzāñ tarsāñ bar-sar-e-mizhgāñ ḳhuun ke aañsū haiñ 'tāriq'
sham-e-farozāñ shahr meñ le kar ḳhūnī manzar dekhā hai
Top Urdushayar.com