pahuñchā maiñ kū-e-yār meñ jab sar liye hue
nāzuk badan nikal paḌe patthar liye hue
ai dost zindagī kī mujhe bad-duā na de
maiñ ḳhaak ho chukā huuñ muqaddar liye hue
chaltī hai rauñdtī hue pal pal mirā vajūd
har saañs ḳhvāhishāt kā lashkar liye hue
parchhā.iyoñ ke des meñ be-asl kuchh nahīñ
manzar bhī hai yahāñ pas-manzar liye hue
guzrī hai rauñdtī huī lamhoñ kā qāfila
'tāriq' kī musht-e-ḳhāk hai mahshar liye hue