ġham-e-jānāñ se dil mānūs jab se ho gayā mujh ko
hañsī achchhī nahīñ lagtī ḳhushī achchhī nahīñ lagtī
yaqīnan zulm kī har baat sun kar kahne vaale se
kahegā ye har achchhā aadmī achchhī nahīñ lagtī
galī terī burī lagtī nahīñ thī jān-e-jāñ lekin
nahīñ hai jab se tū terī galī achchhī nahīñ lagtī
ḳhushī se maut aa.e ab mujhe marnā gavārā hai
ga.e vo jab se mujh ko zindagī achchhī nahīñ lagtī
na chheḌo ham-nashīnoñ shām-e-ġham 'purnam' ko rone do
musībat meñ kisī kī dil-lagī achchhī nahīñ lagtī