rakhte haiñ dushmanī bhī jatāte haiñ pyaar bhī
haiñ kaise ġham-gusār mire ġham-gusār bhī
afsurdagī bhī ruḳh pe hai un ke nikhār bhī
hai aaj gulsitāñ meñ ḳhizāñ bhī bahār bhī
piitā huuñ maiñ sharāb-e-mohabbat to kyā huā
piitā hai ye sharāb to parvardigār bhī
milne kī hai ḳhushī to bichhaḌne kā hai malāl
dil mutma.in bhī aap se hai be-qarār bhī
aa kar vo merī laash pe ye kah ke ro diye
tum se huā na aaj mirā intizār bhī
ai dost ba.ad-e-marg bhī maiñ huuñ shikasta-hāl
dil kī tarah se TuuTā huā hai mazār bhī
'purnam' ye sab karam hai 'qamar' kā jo āj-kal
hotā hai ahl-e-fan meñ tumhārā shumār bhī