gesū ruḳh-e-raushan se vo Talne nahīñ dete
din hote hue dhuup nikalne nahīñ dete
āñchal meñ chhupā lete haiñ sham-e-ruḳh-e-raushan
parvāne to jal jaa.eñ vo jalne nahīñ dete
bikhrā dī vahīñ zulf zarā ruḳh se jo sarkī
kyā raat Dhale raat vo Dhalne nahīñ dete
kis darja haiñ be-dard tire hijr ke sadme
dil ko tirī yādoñ se bahalne nahīñ dete
dekhā hai jise bhī vo girāte haiñ nazar se
chāhe bhī sambhalnā to sambhalne nahīñ dete
gulshan pe udāsī kī fazā dekh rahā huuñ
vo dard ke mausam ko badalne nahīñ dete
be-rāh na kyūñkar hoñ bhalā rah-rav-e-manzil
jab rāh-numā raah pe chalne nahīñ dete
vo sāmne hote haiñ to hotā hai ye aalam
armān machalte haiñ machalne nahīñ dete