ham ne phūloñ ko jo dekhā lab-o-ruḳhsār ke ba.ad
phuul dekhe na ga.e husn-e-ruḳh-e-yār ke ba.ad
kaam nazroñ se liyā abru-e-ḳhamdār ke ba.ad
tiir maare mujhe us shoḳh ne talvār ke ba.ad
jis pe ho jaa.eñ fidā koī bhī aisā na milā
saikḌoñ dekhe hasīñ aap ke dīdār ke ba.ad
dilrubā.ī kī adā yuuñ na kisī ne paa.ī
mere sarkār se pahle mire sarkār ke ba.ad
zindagī maut se kuchh kam na thī ai jān-e-hayāt
tere iqrār se pahle tire inkār ke ba.ad
dil-o-jāñ kar ke fidā un ko banāyā apnā
ishq ke khel meñ jiit apnī huī haar ke ba.ad
chain phir aur kahīñ pā na sake ai 'purnam'
ham zamāne meñ phire kūcha-e-dildār ke ba.ad