Purnam Allahabadi

wo aankh mere liye nam hai kya kiya jae

Purnam Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1940-2009
vo aañkh mere liye nam hai kyā kiyā jaa.e
use bhī aaj mirā ġham hai kyā kiyā jaa.e
tire baġhair kahīñ merā jī nahīñ lagtā
tire baġhair ye aalam hai kyā kiyā jaa.e
sahar qarīb hai ab kyā vo ā.eñge milne
umīd-e-vasl bahut kam hai kyā kiyā jaa.e
ḳhatā maaf ḳhatā.eñ to ham se hoñgī zarūr
ki ye to fitrat-e-ādam hai kyā kiyā jaa.e
ilāhī ab koī chāra nahīñ duā ke sivā
marīz-e-hijr lab-e-dam hai kyā kiyā jaa.e
vo mujh se milne ko aa.e haiñ merī maut ke ba.ad
ḳhushī bhī mere liye ġham hai kyā kiyā jaa.e
baraste rahte haiñ din raat hijr meñ 'purnam'
ye hāl-e-dīda-e-pur-nam hai kyā kiyā jaa.e
Top Urdushayar.com