Purnam Allahabadi

dastur mohabbat ka sikhaya nahin jata

Purnam Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1940-2009
dastūr mohabbat kā sikhāyā nahīñ jaatā
ye aisā sabaq hai jo paḌhāyā nahīñ jaatā
kamsin haiñ vo aise unheñ zālim kahūñ kaise
ma.asūm pe ilzām lagāyā nahīñ jaatā
ā.īna dikhāyā to kahā ā.īna-ruḳh ne
ā.īne ko ā.īna dikhāyā nahīñ jaatā
kyā chheḌ hai āñchal se gulistāñ meñ sabā kī
un se ruḳh-e-raushan ko chhupāyā nahīñ jaatā
hairat hai ki mai-ḳhāne meñ jaatā nahīñ zāhid
jannat meñ musalmān se jaayā nahīñ jaatā
ab maut hī le jaa.e to le jaa.e yahāñ se
kūche se tire ham se to jaayā nahīñ jaatā
is darja pashemāñ mirā qātil hai ki us se
mahshar meñ mire sāmne aayā nahīñ jaatā
'purnam' ġham-e-ulfat meñ tum aañsū na bahāo
is aag ko paanī se bujhāyā nahīñ jaatā
Top Urdushayar.com