ye kah ke aag vo dil meñ lagā.e jaate haiñ
charāġh ḳhud nahīñ jalte jalā.e jaate haiñ
ab is se baḌh ke sitam dostoñ pe kyā hogā
vo dushmanoñ ko gale se lagā.e jaate haiñ
ġharībī jurm hai aisā ki dekh kar mujh ko
nigāheñ pher ke apne parā.e jaate haiñ
kashish charāġh kī ye baat kar ga.ī raushan
patiñge ḳhud nahīñ aate bulā.e jaate haiñ
tajalliyoñ ke hijābāt haiñ ḳhayāl rahe
ye parde dast-e-nazar se uThā.e jaate haiñ
hameñ milī hai jagah jab se aap ke dil meñ
jahāñ haiñ aap vahāñ ham bhī paa.e jaate haiñ
na pūchh hāl-e-shab-e-ġham na pūchh ai 'purnam'
bahā.e jaate haiñ aañsū bahā.e jaate haiñ