Mohsin Kashmiri

sar-e-bazar humne bhi tamasha kya nahin dekha

Mohsin Kashmiri

kashmir,

1991
sar-e-bāzār ham ne bhī tamāshā kyā nahīñ dekhā
bhare sansār meñ ham ne koī tum sā nahīñ dekhā
na chheḌo baat ulfat kī mohabbat aur chāhat kī
fareb-e-husn meñ ham ne sitam kyā kyā nahīñ dekhā
yahāñ har roz hotī hai qayāmat har ghaḌī barpā
kisī bastī ko aise ḳhuun meñ Duubā nahīñ dekhā
jahāñ dekhūñ vahāñ bas ek hī ātish-zabānī hai
baraste phuul hoñ jin se koī aisā nahīñ dekhā
nasīhat raas koī bhī tujhe aatī nahīñ 'mohsin'
zamāne bhar meñ patthar-dil koī tujh sā nahīñ dekhā
Top Urdushayar.com