purāne zaḳhm ko dil se miTāyā bhī nahīñ jaatā
tirī chāhat ko auroñ se chhupāyā bhī nahīñ jaatā
tamīz-e-ḳhār-o-gul se maiñ huā vāqif nahīñ ab tak
kahāñ raushan-zamīrī hai dikhāyā bhī nahīñ jaatā
lagī ik aag hai har sū aziyyat aur nafrat kī
sulagtī aag ko mujh se bujhāyā bhī nahīñ jaatā
kahāñ kartā musalmāñ hai kisī kī ab nigahbānī
nafas ke haath luTne se bachāyā bhī nahīñ jaatā
nahīñ maqsūd hai 'mohsin' jahāñ meñ dil lagānā yuuñ
jahāñ meñ is haqīqat ko batāyā bhī nahīñ jaatā