havas kisī ko ho dekhne kī jo mauj-e-be-intihā-e-dariyā
to aa ke chashmoñ ko dekhe merī ki yaañ se hai ibtidā-e-dariyā
habāb un ko na samjho yaaro ye uThte paanī meñ haiñ jo har-dam
badan khulā jo kisī kā dekhā khule haiñ ye īda-e-dariyā
darūn-e-girdāb ab jo jā kar phañsī hai kashtī hamārī yārab
sarishk-e-yās ab bhī hai jo āñkhoñ se kyā kaheñ mājrā-e-dariyā
sarishk-e-chashm aur āh-e-sozāñ ne mere ai vaa.e ek pal meñ
bahut se jañgal kiye haiñ sarsabz aur kitne sukhā.e dariyā
uThā.egā jab talak na 'nusrat' tū varta-e-ishq kī mashaqqat
to haath āvegā kyūñki tere vo gauhar-e-be-bahā-e-dariyā