lagā liyā thā gale us ne bā-vafā kah kar
hamīñ ne Taal diyā harf-e-āshnā kah kar
kaf-e-talab pe kabhī to mire huzūr likho
hinā ke naqsh ko tahrīr-e-ḳhūñ-bahā kah kar
kuchh aisī shakl mujhe rū-ba-rū dikhā.ī dī
nazar palaT ga.ī ā.īna-e-riyā kah kar
uḌā ke le ga.ī mauj-e-sabā na jaane kahāñ
tumhāre jism kī ḳhushbū ko āshnā kah kar
fasīl-e-vaqt se āzād ho ke merī zabāñ
qubūl-e-ām huī dasht kī sadā kah kar
thiiñ jin meñ dafn hazāroñ qadam kī āvāzeñ
miTā diyā tire talve ne naqsh-e-pā kah kar
maiñ apnī vaz.a pe qaa.em rahūñ 'shakeb'-ayāz
vo apnī pyaas bujhā.e burā-bhalā kah kar