ḳhūnīñ gulāb sabz sanobar hai sāmne
āñkhoñ meñ qaid karne kā manzar hai sāmne
fauj-e-siyāh chāroñ taraf mahv-e-gasht hai
ḳhanjar barahna raat kā lashkar hai sāmne
vo saañs le rahā hai magar zindagī kahāñ
shīshe meñ band laakh kā paikar hai sāmne
itrā ke chal shu.ūr kī Thokar bhī khā ke dekh
be-lams āgahī kā vo patthar hai sāmne
fitrat pe ye bhī tanz hai shāyad 'shakeb-ayāz'
pyāsī hai ret aur samundar hai sāmne