Shakeb Ayaz

jhonka hawa ka adh-khuli khiDki tak aa na jae

Shakeb Ayaz

jhoñkā havā kā adh-khulī khiḌkī tak aa na jaa.e
jiine kā us ko koī salīqa sikhā na jaa.e
kañkar se chaknāchūr hai sayyāl aa.ina
qirtās-e-mauj kā koī likkhā miTā na jaa.e
uryāñ khaḌī huī ye siyah sī pahāḌ shab
sūraj kī infi.ālī nazar ko jhukā na jaa.e
jab se huī hai merī zabāñ zahr-āshnā
amrit kā ek ghūñT bhī mujh se piyā na jaa.e
gardish meñ āsmān mirā saath de magar
merī hatheliyoñ kī lakīreñ miTā na jaa.e
kal ik ajiib vāqi.a guzrā 'shakeb-ayāz'
sochūñ to ḳhud pe ḳhuub hañsūñ aur kahā na jaa.e
Top Urdushayar.com