ye aur baat hai har shaḳhs ke gumāñ meñ nahīñ
zamīñ kahāñ hai jo āġhosh-e-āsmāñ meñ nahīñ
ziyā-farāz jahāñ haiñ hazār māh-o-nujūm
charāġh koī magar mere āshiyāñ meñ nahīñ
vafūr-e-ishq kī nairañgiyāñ are tauba
jo dil meñ dard hai vo dil kī dāstāñ meñ nahīñ
tum apnā tīr-e-adā merī ruuh meñ DhūñDo
in abaruoñ kī lachaktī huī kamāñ meñ nahīñ
ye aur baat ki gulshan pe gir paḌe bijlī
kamī to koshish-e-tanzīm-e-gulistāñ meñ nahīñ
jo apnī sust-ravī kā ilaaj kar na sake
maqām us kā koī ahl-e-kārvāñ meñ nahīñ
rumūz-e-uqbā se ahl-e-zamīñ hoñ kyā vāqif
kisī bhī pahlū koī rabt do-jahāñ meñ nahīñ
'falak' maiñ kaifiyyat-e-dil se ḳhud pareshāñ huuñ
kisī fuġhāñ meñ asar hai kisī fuġhāñ meñ nahīñ