āh-e-zindāñ meñ jo kī charḳh pe āvāz ga.ī
par ga.e par na mirī ḳhvāhish-e-parvāz ga.ī
yaad itnā hai mire lab pe fuġhāñ aa.ī thī
phir ḳhudā jaane kahāñ dil kī ye āvāz ga.ī
maiñ ne anjām se pahle na palaT kar dekhā
duur tak saath mire manzil-e-āġhāz ga.ī
maut jis raah meñ ghabrā ke qadam rakhtī thī
zindagī apnī vahāñ bhī ba-sad andāz ga.ī
par bhī baazū ke the mazbūt azā.em puḳhta
phir bhī bekār mirī koshish-e-parvāz ga.ī
dekhte dekhte ḳhāmosh huā naġhma-e-dil
taar jab TuuT ga.e saaz kī āvāz ga.ī
ai 'falak' maiñ jo gayā sū-e-falak shor huā
mahfil-e-dahr se ik hastī-e-mumtāz ga.ī