niyyat agar ḳharāb huī hai huzūr kī
gaḌ.h lo koī kahānī hamāre qusūr kī
kyuuñ dil kī aag le na ḳhabar duur duur kī
kaundī hai har dimāġh meñ bijlī futūr kī
har zulm par kiyā hai zamāne se ehtijāj
kuchh bhī na ban paḌā to mazammat zarūr kī
ta.amīr kā to vaqt hai taḳhrīb kā junūñ
ab bhī hai aadmī ko zarūrat shu.ūr kī
ai shām-e-ġham kī gahrī ḳhamoshī tujhe salām
kānoñ meñ ek aa.ī hai āvāz duur kī
hosh uḌ ga.e to hosh haqīqat kā aa gayā
muusā kī be-hisī meñ tajallī thī nuur kī
kahtā hai inqalāb zamāna jise 'falak'
ik duniyā muntazir hai usī ke zuhūr kī