merī hastī meñ mirī ziist meñ shāmil honā
tujh ko ai husn mubārak ho mirā dil honā
ḳhushk ho jaa.eñ jo āñkheñ to ġham-e-furqat kyā
chāhiye aur bhī tar dīda-e-bismil honā
us pe mushkil koī paḌ jaa.e to āsāñ ho jaa.e
hausla baḳhshe jise kaam kā mushkil honā
lā mirā jaam uThā apnī surāhī saaqī
aaj hai gardish-e-daurāñ ke muqābil honā
ab kahe jaao fasāne mirī ġharqābī ke
mauj-e-tūfāñ ko mire haq meñ thā sāhil honā
qais lailā kī nazar se hī banā thā majnūñ
us kā achchhā hai pas-parda-e-mahmil honā
mast ulfat hoñ mirā naam hai dīvāna-e-husn
kaam hai hosh meñ aanā kabhī ġhāfil honā
kitnī ummīd se baḌhte haiñ musāfir ke qadam
qudratī hai ġham-e-nākāmī-e-manzil honā
aaj ke daur meñ kam baat nahīñ hai ye 'falak'
ek fan meñ kisī insān kā kāmil honā