kyā kaheñ kyūñkar huā tūfān meñ paidā qafas
mauj jab bal khā ke uTThī ban gayā dariyā qafas
zindagī ġham kā badal hai ārzūeñ yaas kā
āsmāñ sayyād ham qaidī haiñ aur duniyā qafas
dil ke haq meñ siina zindāñ aarzū ke haq meñ dil
saikḌoñ dekhe haiñ lekin ye nayā dekhā qafas
din asīrī ke ba-har-sūrat guzāre jā.eñge
ek qaidī ke liye hai kyā burā achchhā qafas
koī bhī dīvār sadd-e-rāh ho saktī nahīñ
tol baiThe par to phir sayyād kyā kaisā qafas
apnā ghar phir apnā ghar hai apne ghar kī baat kyā
ġhair ke gulshan se sau darja bhalā apnā qafas
ai 'falak' aa.ī yahāñ bhī mujh ko yād-e-āshiyāñ
barq tū gardūñ pe chamkī jagmagā uTThā qafas