dil shādmāñ ho ḳhuld kī bhī aarzū na ho
gar tū mile ḳhudā kī mujhe justujū na ho
āñkheñ tujhe na paa.eñ to kuchh bhī na pā sakeñ
gar tū na ho to kuchh bhī mire rū-ba-rū na ho
chubhtī huī kahe hai zabāñ se har ek baat
tū ḳhuub hai jo talḳh tirī guftugū na ho
uThtī nahīñ nigāh bhī ai dil tire sabab
kis se mujhe shikast ho dushman jo tū na ho
mahbūb gar mile to mile vo nasīb se
lutf-o-karam na ho to sitam kī bhī ḳhū na ho
har ḳhūb-rū ho shoḳh-adā aur vafā-shi.ār
kis kaam kā hai phuul agar rañg-o-bū na ho
izzat bhī ek chiiz hai duniyā meñ ai 'falak'
us ghar na jā jahāñ ki tirī aabrū na ho