ashk-e-ġham vo hai jo duniyā ko dikhā bhī na sakūñ
aur gir jaa.e zamīñ par to uThā bhī na sakūñ
ye mire ġham kā fasāna hai rahegā lab par
terī rūdād nahīñ hai ki sunā bhī na sakūñ
partav-e-husn huuñ is vāste mahdūd huuñ maiñ
husn ho jā.ūñ to duniyā meñ samā bhī na sakūñ
tez kuchh vaqt kī raftār nahīñ hai lekin
tum agar saath na do paañv baḌhā bhī na sakūñ
ab vahī log bigāḌī hai jinhoñ ne qismat
chāhte haiñ ki maiñ taqdīr banā bhī na sakūñ
aaj nākām sahī kal kā bharosa hai mujhe
ishq phir kyā jo tujhe apnā banā bhī na sakūñ
dil kahāñ ek siyah-ḳhāna hai ranj-o-ġham kā
is qadar daaġh lage haiñ ki miTā bhī na sakūñ
dil kī gahrā.ī se ai dost zarā kah to sahī
jaan aisī to nahīñ jis ko gañvā bhī na sakūñ
umr guzrī kabhī saaqī ne 'falak' ye na kahā
itnī pī le ki tujhe hosh meñ lā bhī na sakūñ