mire liye mirī parvāz ke liye kam hai
hazār jast tag-o-tāz ke liye kam hai
ye do jahān bhī mere liye nahīñ kaafī
ye intihā mire āġhāz ke liye kam hai
ye mere qatl pe āmāda kaun dikhtā hai
ki nāravā bhī dar-andāz ke liye kam hai
koī sadā hai ki pī hai kisī papīhe kī
gumān ye kisī āvāz ke liye kam hai
ravāna kī to ga.ī hai pa kyā kiyā jaa.e
ki ye kumak mire dam-sāz ke liye kam hai
mujhe ġhazal ke na.e ḳhāl-o-ḳhad banāne haiñ
mirā hunar mire e.ajāz ke liye kam hai
ilāj-e-chāra-garāñ aam kījiye 'mehdī'
tamām umr bhī is cause ke liye kam hai