tāroñ se māhtāb se aur kahkashāñ se kyā
merā vatan zamīñ hai mujhe āsmāñ se kyā
TukḌe jigar ke hoñ ki Tapaktā ho ḳhūn-e-dil
unvāñ jo tum nahīñ to tumheñ dāstāñ se kyā
jiinā jo jāntā ho taḌap kar tire baġhair
is ko tirī galī se tire āstāñ se kyā
un kā na sāmnā ho usī meñ hai āfiyat
kyā jāniye ki nikle hamārī zabāñ se kyā
utregā jab ḳhumār vahī hoñge ranj-o-ġham
dil ko sukūñ milegā mai-e-arġhavāñ se kyā
ai dil hai kis liye tujhe āvārgī kā shauq
tū bhī bichhaḌ gayā hai kisī kārvāñ se kyā
ġham hai shikast kā na ḳhushī fat.h kī 'falak'
mujh ko amal se kaam hai sūd-o-ziyāñ se kyā