raushan hai fazā shams koī hai na qamar hai
shā.ir huuñ mujhe arsh-e-muallā kī ḳhabar hai
dariyā meñ haiñ girdāb kināre pe bagūle
ārām kī sūrat na idhar hai na udhar hai
patte kī khaḌak se bhī laraztā hai mirā dil
saa.e se bhī ḳhatra mujhe daurān-e-safar hai
ik mauj bhī rakhtī hai kināre kī tamannā
āvāra jo phirtā huuñ ye merā hī jigar hai
ik tā.ir-e-mahsūr asīrī kā muḳhālif
uḌ saktā hai baazū meñ agar ek bhī par hai
maujoñ ko pata kyā hai samundar ko ḳhabar kyā
kis abr kī shoḳhī hai sadaf meñ jo guhar hai
kyā ashk kisī TūTte taare pe bahā.ūñ
ḳhud apnā hī anjām 'falak' pesh-e-nazar hai